Romans 11 Urdu Hindustani Bible 1878

From Textus Receptus

(Difference between revisions)
Jump to: navigation, search

Erasmus (Talk | contribs)
(New page: {{Books of the Urdu Hindustani 1878 New Testament}} PULUS Ka KHATT RUMION KO. 11 BÁB * 1 Pas main kahta hun, kya Khuda ne apni qaum ko kharij kar diya? Aisi na howe. Kyunki main bhi I...)
Next diff →

Revision as of 04:30, 7 October 2023

PULUS Ka KHATT RUMION KO.

11 BÁB

  • 1 Pas main kahta hun, kya Khuda ne apni qaum ko kharij kar diya? Aisi na howe. Kyunki main bhi Israeli, Abiraham ki nasl, aur Binyamin ke firqe se, hun.
  • 2 Khuda ne apni us qaum ko, jise us ne pahle se jana, kharij nahin kiya. Kya tum nahin jante ho, ki Iliyas ke haqq men kitab kya kahti hai? ki wuh kyunkar Khuda se Israel par faryad karke kahta hai.
  • 3 KI Ai Khudawand, unhon ne tere nabion ko qatl kiya, aur teri qurbangahon ko dha diya; ab main akela baqi hun, aur we meri jan ki bhi fikr men hain.
  • 4 Par kalam Ilahi jawab men us ko kya kahta hai? yih, ki Main ne apne liye sat hazar admi bacha rakhe hain, jinhon ne Baal ke age ghutna nahin teka.
  • 5 Pas isi tarah is waqt bhi kitne hi fazl se barguzida hoke baqi rahe hain.
  • 6 Phir agar fazl se hai, to aamal se nahin; nahin to fazl fazl na rahega. Aur agar aamal se hai, to fazl phir kuchh nahin: nahin to 'amal 'amal na rahega.
  • 7 Pas kya, hua? Yih, ki Israel jis chiz ki talash karta hai, wuh us ko na mili; par chune huon ko mili, aur baqi andhe kiye gaye.
  • 8 Chunanchi likha hai, ki Khuda ne aj tak unhen unghnewali ruh, aur aisi ankhen ki na dekhen, aur aise kan ki na sunen, diye hain.
  • 9 Aur Daud kahta hai, ki un ka dastarkhwan jal, aur phanda, aur thokar khane ka bais, aur un ki saza ka sabab, howe.
  • 10 Un ki ankhen tarik ho jawen, ki we na dekhen, aur tu un ki pith ko hamesha jhuka rakh.
  • 11 Pas main kahta hun, ki Kya unhon ne aisi thokar khai ki gir paren? Aisa na ho: magar un ke girne ke bais najat gair qaumon ko mili, taki unhen un se gairat awe.
Personal tools