Mark 11 Urdu Hindustani Bible 1878

From Textus Receptus

(Difference between revisions)
Jump to: navigation, search

Erasmus (Talk | contribs)
(New page: {{Books of the Urdu Hindustani 1878 New Testament}} MARQUS KI INJIL. 11 BÁB * 1 TAB we Yarusalam ke nazdik Zaitun ke pahar ke pas Baitfaga aur Baitaniya men ae, us ne apne shagirdon me...)
Next diff →

Revision as of 05:44, 20 October 2023

MARQUS KI INJIL.

11 BÁB

  • 1 TAB we Yarusalam ke nazdik Zaitun ke pahar ke pas Baitfaga aur Baitaniya men ae, us ne apne shagirdon men se do ko bheja, aur un se kaha, ki.
  • 2 Us basti men, jo tumhare samhne hai, jao, aur jab tum us men dakhil hoge, ek gadhi ke bandhe hue bachhere ko paoge, jis par koi sawar nahin hua use kholke le ao.
  • 3 Aur agar koi shakhs tumhen kahe, ki Tum yih kyun karte ho? tum kahiyo, Khudawand ko us ki darkar hai, to wuh filfaur use yahan bhej dega.
  • 4 We gae, aur us bachhere ko darwaze ke nazdik bahar baudha hua, jahan doraha tha, paya, aur use khola.
  • 5 Bazon ne un men se jo wahan khare the, unhen kaha, Yih kya karte ho, ki bachhere ko kholteho?
  • 6 Unhon ne, jaisa Yisu ne farmaya tha, kaha; tab unhon ne un ko jane diya.
  • 7 We us bachhere ko Yisu pas lae, aur apne kapre us par dal die, aur wuh us par sawar hua.
  • 8 Aur bahuton ne apni poshak ko ruh men bichhaya, aur auron ne darakhton ki dalian katke rah men bithrian.
  • 9 Aur we jo age pichhe jate the, pukarke kahte the, ki Hoshanna! Mubarak wuh, jo Khudawand ke nam par ata hai.
  • 10 Hamare bap Daud ki badshahat, jo Khudawand ke nam se ati hai, Mubarak! 'Alam i bala men Hoshanna.
  • 11 Yisu Yarusalam men dakhil hua, aur haikal men aya: aur jab charon taraf sab chizon par mulahaza kiya, wuh un barahon ke sath Baitaniya ko gaya, kyunki sham ka waqt tha.
  • 12 Subh ko, jab we Baitaniya se bahar ae, us ko bhukh lagi.
  • 13 Aur dur se anjir ka ek darakht patton se lada hua dekhke, wuh gaya, ki shayad us men knchh pawe; jab wuh us pas aya, to patton ke siwa kuchh na paya.

kyunki anjir ka mausim na tha.

  • 14 Tab Yisu ne kaha, Koi tujh se phal kabhi na khawe; aur us ke shagirdon ne yih suna.
  • 15 We Yarusalam men ae, aur Yisu' haikal men dakhil hoke, unhen, jo haikal men bechte aur mol lete the, bahar nikalne laga, aur sarrafon ke takhte, aur kabutar bechnewalon ki chaukian ulat din.
  • 16 Aur kisi ko haikal men hoke bartan le jane na diya.
  • 17 Aur unhen yih kahke samjhaya, Kya yih nahin likha hai, ki Mera ghar sab qaumon ke liye 'ibadatkhana kahlaega? lekin tum ne use choron ka gar banaya hai.
  • 18 Faqihon aur Sardar Kahinon ne yih suna, aur fikr men the, ki use kisi tarah jan se maren; kyunki us se darte the, is liye ki sab log us ki talim se dang hogae the.
  • 19 Aur jab sham hui, wuh shahr se bahar gaya.
  • 20 Aur subh ko, jab we udhar se guzre, to dekha, ki wuh anjir ka darakht jar se sukh gaya.
  • 21 Tab Patras ne yad karke us se kaha, Ai Rabbi, dekh, anjir ka yih darakht, jis par tu ne lanat ki thi, sukh gaya hai.
  • 22 Yisu, ne jawab men unhen kaha, Khuda par iatiqad rakho; ki.
  • 23 Main tum se sach kahta hun, Jo koi is pahar ko kahe, Uth, aur darya men gir par, aur apne dil men shakk na lawe, balki yaqin lawe, ki yih baten, jo wuh kahta hai, ho jaengi, to jo kuchh wuh kahega, so hoga.
  • 24 Is liye main tum se kahta hun, ki Dua men jo kuchh tum mangte ho, yaqin lao, ki milega, to tum paoge.
  • 25 Aur jab ki tum dua ke liye khare hote ho, agar koi tumhara mukhalif ho, to use muaf karo, taki tumhara Bap bhi, jo asman par hai, tumhare qusuron ko muaf kare.
  • 26 Aur agar tum muaf na karoge, to tumhara Bap, jo asman par hai, tumhare qusur bhi muaf na karega.
  • 27 We phir Yarusalam men ae. Jab wuh haikal men phirta tha, Sardar Kahin aur Faqih aur buzurg us ke pas ae.
  • 28 Aur us se kaha, ki Tu kis ikhtiyar se yih kam karta hai, aur kis ne tujhe ikhtiyar diya, ki yih ktun kare ?
Personal tools