Revelation 10 Urdu Hindustani Bible 1878
From Textus Receptus
See Also: Urdu Old Testament |
---|
YUHANNÁ KE MUKÁSHFÁT KÍ KITÁB.
10 BÁB
- 1 Phir main ne ek aur zorawar firishta asman se utarte dekha, jo badli ko orhe, aur us ke sir par dhanuk thi ; us ka chihra aftab sa, aur us ke panw ag ke sutunon ki manind the.
- 2 Aur us ke hath men ek chhoti si kitab khuli lui thi : aur us ne apna dahna panw samundar par, aur bayan khushki par dhara,
- 3 Aur bari awaz so, jaise babar garajta hai, pukara: aur jab us ne pukara, tab badal ke garajne ki sat awazen ain.
- 4 Aur jab we sat badal garaj chuke, main likhne par tha: tab main ne asman se ek awaz suni, jo mujhe farmati thi, ki Un ke sat badalon ne jo kuchh kaha us par muhr kar rakh, aur likh mat.
- 5 Tab us firishta ne, jise main ne samundar aur khushki par khara dekha, apna hath asman ki taraf uthaya,
- 6 Aur us ki jo abad tak zinda hai, jis ne asman ko aur jo kuchh us men hai, aur zamin ko aur jo kuchh us men hai, aur samundar ko aur jo kuchh us men hai, paida kiya, qasam khai, ki phir waqt na hoga:
- 7 Balki satwen firishta ki awaz ke dinon men, jab wuh phunkne lagega, Khuda ka poshida matlab, jaisa us ne apne khidmat-guzar nabion ko ichush-khabari di, piira hoga,